HAWA THAMI THI ZARUR LEKIN
Hawa thami thi zarur lekin,
Wo shaam jesay sisak rhi thi,
K zard patton ko aandhiyon ne,
Ajeeb Qisa suna diya tha,
K jis ko sun kr tamam patay,
Sisak rahy thay Bilak rahy thay,
Janay kis k, alam me sary,
Shajar jarroon se ukher chuky thay,
Boht tlasha tha hum ne tumko,
Har aik rasta Har aik waadi,
Har aik parbat
Har aik ghaati,
Mgr kahin se khbar na aie,
Ye keh k hum ne b dil ko tala,
Hawa thamay gi to dekh len gay,
Hum uskay rasto ko dhond lay gen,
Mgr hamari ye khush khiyaali,
Jo hum ko aksar na raas aie,
Hawa thami thi zaror Lekin,
Bari hi mudat guzar chuki thi,
Hmare sir me,
Sufaid chandi utar chuki thi,
K wo humaray nahi rahay thay,
K hum hamare nhi rahay thay,
Hawa thami thi zarur Lekin,
Bari hi mudat guzr chuki thi
ABHI TUM ISHQ MAT KARNA
Abhi Tum Ishq Mat Karna
Abhi Guriya Se Khelo Tum
Tumhari Umar Hi Kya Hai
Faqt Satra Baras Ki Ho
Abhi Masoom Bachi Ho
Nahin Maloom Abhi Tum Ko
K Jab Yeh Ishq Hota Hai
To Insaan Kitna Rota Hai
Sitaray Toot Jatay Hain
Saharay Choot Jatay Hain
Abhi Tum Nay Nahin Dekha
K Jab Sathi Bichartay Hain
Tu Kitna Dard Milta Hai
K Har Furqat K Mousam Main
Hazaron Ghum Ubhartay Hain
Hazaron Zakhm Khultay Hain
Suno Larki ...
~ Meri Mano ~
Parhai Par Tawajo Do
Kitaabon Main Gulabon Ko
Kabhi Bhoolay Say Mat Rakhna
Kitabain Jab Bhi Kholo Gi
Yeh Kanton Ki Tarhan Dil Main
Chubhain Gay Khoon Bahayen Ge
Tumhain Pehron Satayen Ge
Kisi Ko Khat Nahin Likhna
Likhai Pakri Jati Hai
Bari Ruswai Hoti Hai
Kisi Ko Phone Mat Karna
Sadayen Dil Dukhati Hain
Woh Awazain Satati Hain
Meri Nazmain Nahin Parhna
Yeh Mehshar Utha Dein Gi
Tumhain Pagal Bana Dein Gi
Suno Larki ...
~ Meri Mano ~
Apni Taqdeer Say Tum
Khul K Mat Larna
Abhi Guriya Se Khelo Tum
Abhi Tum Ishq Mat Karna