Monday, 22 July 2013

HOYEE HAI SHAAM TAU AANKHOON MEIN BUS GAYA PHIR TU KAH

 

    Ho’yee hai shaam tau aankhoon mein bus gaya phir tu


    Kahan Gaya hai meray shehr ke musafir tu


    Mein jaan ta hoon keh dunya tujhe badl de gi


    Mein maan ta hoon keh aisa naheen bazahir tu


    Bicharna hai tau hansi khushi se bichar ja


    Yeh kya sochta hai hur muqaam peh aakhir tu


    Faraz tu ne oose mushkiloon mein daal dya


    Zamana sahib-e zar aur sirf shair tu……