Monday, 22 July 2013

JU MIL GIA USAY YAAD RAKH JU NA MIL SAKA USAY BHOOL JA



     Kahan Aa k rukay thay raastay kahan mor tha usay bhool ja

    Ju mil gia usay yaad rakh ju na mil saka usay bhool ja

    Wo teray Naseeb ki barishein Kisi aur chhat pe baras gaein

    Dil-e-bekhabar meri baat sun usay bhool ja usay bhool ja

    Main tu gum tha teray he dhayaan mein teri aass teray gumaan mein

    Hawa keh gai meray kaan mein meray saath a usay bhool ja

    Kisi aankh mein nahi ashk-e-gham teray baad Kuch bhi nahi hey kam

    Tujhay zendagi ny bhola dia tu bhi muskara usay bhool ja

    Na wo aankh he teri aankh thi na wo khawab he tera Khawab tha

    Dil-e-muntazir tu ye kis liye tera jaagna usay bhool ja

    Ye ju raat din ka hey khail sa isay dikh es par yaqeen kar

    Nahi akss koi bhi mustaqil sar-e-aina usay bhool ja

    Ju bisaat-e-jaan hey ulat gia wo ju rastay sy palat gia

    Usay roknay sy hasool kia usay mat bola usay bhool ja

    Ye ju agaahi ka saraab hey yehe sab sy barh kar azaab hey

    Ye samjh wo akss-e-khayaal tha koi Khawab tha usay bhool ja

    Tu ye kis liye shab-e-hijr k usay har sitaaray mein dikhna

    Wo falak k jis pe milay thay ham koi aur tha usay bhool ja

    Kiyon ataa hua hey ghubaar mein gham-e-zendagi k fashaar mein

    Wo ju darj tha teray bakht mein so wohe gia usay bhool ja

    Tujhay chand ban k mila tha ju teray sahailoon pe khila tu ju

    Wo tha ik dariya wassaal ka so utar gia usay bhool ja